Bheed se bhari iss duniya mein Farishta sa noor banna tum…
Kabhi safar mushkil lage tho, manzil ko yaad karna tum…
Agar raste mein girgaye, tho safar jaari rakhna tum…..
Kabhi yaad aagaye purane din, phir se kitab k pannhe palatna bhoolna na tum..
***************
Bohat choti thi, jab dard chupana seekhliya..
Apno se apna banna samjhliya…
Anjaan thi iss samajhdari k natije se..
Maine akele hi saara dard sehliya.
***************
Maine kabhi kaamyabi ko mehsus kiya hi nahi…
Udte Jugnu ko hi roshni ka sahara samjh liya..
Kya pata jugnu ki roshni mein uthna asar nahi…
Maine mehnat ki gehrayi ko kabhi samjha hi nahi.
My name is Arshiya farheen. I’m from Suryapet dist, Telangana. I’m a 3rd year student pursuing Bsc horticulture and I’m ready to apply my knowledge into practice.I even run a you tube channel named “Arshiya Farheen” explaining some topics related to my profession and gardening. Poetry is my passion to which i always wanted to take it a step forward in my life….